Ishq Mein ChheD Hui Dida-e-tar Se Pahle

ishq mein chheD hui dida-e-tar se pahle

gham ke baadal jo uThe to yahin par se pahle

ab jahannam mein liye jati hai dil ki garmi

aag chamki thi ye allah ke ghar se pahle

hath rakh rakh ke wo sine pe kisi ka kahna

dil se dard uThta hai pahle ki jigar se pahle

dil ko ab aankh ki manzil mein biTha rakkhenge

ishq guzrega isi rahguzar se pahle

wo har wade se inkar ba-tarz-e-iqrar

wo har ek baat pe han lfaz-e-magar se pahle

mere qisse pe wahi raushni Dale shayad

sham-e-kam-maya jo bujhti hai sahar se pahle

chaak-e-damani-e-gul ka hai gila kya bulbul

ki ulajhta hai ye KHud baad-e-sahar se pahle

kuchh samajhdar to hain nash uThane wale

le chale hain mujhe is rahguzar se pahle

dil nahin haarte yun bazi-e-ulfat mein 'hafiz'

khel aaghaz hua karta hai sar se pahle

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein ChheD Hui Dida-e-tar Se Pahle In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Ishq Mein ChheD Hui Dida-e-tar Se Pahle is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Ishq Mein ChheD Hui Dida-e-tar Se Pahle for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Ishq Mein ChheD Hui Dida-e-tar Se Pahle in PDF.