Phir Lutf-e-KHalish Dene Lagi Yaad Kisi Ki

phir lutf-e-KHalish dene lagi yaad kisi ki

phir bhul gai yaad ko be-dad kisi ki

phir ranj-o-alam ko hai kisi ka ye ishaara

ujDi hui basti karo aabaad kisi ki

phir KHat ka jawab ek wahi tanz ka misra

majbur hai kyun fitrat-e-azad kisi ki

phir de ke KHushi hum use nashad karen kyun

gham hi se tabiat hai agar shad kisi ki

phir pand-o-nasihat ke liye aane lage dost

wo dost jo karte nahin imdad kisi ki

phir shahr mein charcha hai nai sang-zani ka

aKHbar mein phir darj hai rudad kisi ki

phir bab-e-asar ka koi rasta nahin milta

phir bhaTki hui phirti hai fariyaad kisi ki

phir KHak uDate hue phirte hain bagule

phir dasht mein miTTi hui barbaad kisi ki

phir main bhi karun kyun na 'hafiz' is pe tasallut

jagir nahin tab-e-KHuda-dad kisi ki

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Lutf-e-KHalish Dene Lagi Yaad Kisi Ki In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Phir Lutf-e-KHalish Dene Lagi Yaad Kisi Ki is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Phir Lutf-e-KHalish Dene Lagi Yaad Kisi Ki for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Phir Lutf-e-KHalish Dene Lagi Yaad Kisi Ki in PDF.