Takiya

imarat aur shaukat aur sarmae ki taswiren

ye aiwanat sab hain haal hi ki taza tamiren

idhar kuchh fasle par chand ghar the kasht-karon ke

jahan ab kar-KHane ban gae sarmaya-daron ke

maweshi ho gae nilam kyun ye koi kya jaane

kachehri jaane sahukar jaane ya KHuda jaane

zamin-daron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe

nae bhaTTon mein inTen thapte phirte hain halwahe

yahan apne purane ganw ka ab kya raha baqi

yahi takiya yahi ek main yahi ek jhonpaDa baqi

azimushshan basti hai ye nau-abaad virana

yahan hum ajnabi donon hain main aur mera kashana

(1020) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Takiya In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Takiya is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Takiya for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Takiya in PDF.