Shaer

fitna-e-KHufta jagae us ghaDi kis ki majal

qaid hain shahzadiyan koi nahin pursan-e-haal

in gharibon ki madad par koi aamada nahin

ek shaer hai yahan lekin wo shahzada nahin

aahuon ki surmagin palken faza par hukmaran

chhai hain arz o sama par aahinin si jaliyan

dur se kohsar o wadi par ye hota hai guman

unT hain baiThe hue utra hua hai karwan

ya asar hain aasman-e-pir par barsat ke

KHema-e-bosida mein paiwand hain banat ke

aur is KHeme ke andar zindagi soi hui

tirgi soi hui tabindagi soi hui

ai 'hafiz' in nind ke maton ki manzil se nikal

kaam hai darpesh dam-e-dida-o-dil se nikal

dida-o-dil ko bhi ghaflat ke shabistan se nikal

ye jo KHamoshi ki zanjiren hain in ko toD Dal

subh karne ke liye phir haw-hu darkar hai

shukr kar soti hui duniya mein tu bedar hai

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaer In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Shaer is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Shaer for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Shaer in PDF.