Mohabbat Kya BaDhi Hai Wahm Baham BaDhte Jate Hain

mohabbat kya baDhi hai wahm baham baDhte jate hain

hum un ko aazmate hain wo hum ko aazmate hain

na ghaTti shan-e-mashuqi jo aa jate ayaadat ko

bure waqton mein achchhe log aksar kaam aate hain

jo hum kahte nahin munh se to ye apni murawwat hai

churana dil ka zahir hai ki wo aankhen churaate hain

saman us bazm ka barson hi guzra hai nigahon se

kab aise-waise jalse apni aankhon mein samate hain

kahan tak imtihan kab tak mohabbat aazmaoge

unhin baaton se dil ahl-e-wafa ke chhuT jate hain

KHumar aankhon mein baqi hai abhi tak bazm-e-dushman ka

tasadduq us DhiTai ke nazar hum se milate hain

dil ek jins-e-giran-maya hai lekin aankh walon mein

ye dekhen husn wale is ki qimat kya lagate hain

kisi ke sar ki aafat ho hamare sar hi aati hai

kisi ka dil koi take magar hum choT khate hain

gae wo din ki name chaak hote the 'hafiz' apne

hasin ab to meri tahrir aankhon se lagate hain

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Kya BaDhi Hai Wahm Baham BaDhte Jate Hain In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Mohabbat Kya BaDhi Hai Wahm Baham BaDhte Jate Hain is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Mohabbat Kya BaDhi Hai Wahm Baham BaDhte Jate Hain for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Mohabbat Kya BaDhi Hai Wahm Baham BaDhte Jate Hain in PDF.