Husn-e-pari Ek Jalwa-e-mastana Hai Us Ka

husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka

hushyar wahi hai ki jo diwana hai us ka

gul aate hain hasti mein adam se hama-tan-gosh

bulbul ka ye nala nahin afsana hai us ka

giryan hai agar shama to sar dhunta hai shola

malum hua soKHta-parwana hai us ka

wo shoKH nihan-ganj ki manind hai us mein

mamura-e-alam jo hai virana hai us ka

jo chashm ki hairan hui aaina hai us ki

jo sina ki sad chaak hua shana hai us ka

dil qasr-e-shahanshah hai wo shoKH us mein shahanshah

arsa ye do aalam ka jilau KHana hai us ka

wo yaad hai us ki ki bhula de do jahan ko

haalat ko kare ghair wo yarana hai us ka

yusuf nahin jo hath lage chand diram se

qimat jo do aalam ki hai baiana hai us ka

aawargi-e-nikhat-e-gul hai ye ishaara

jame se wo bahar hai jo diwana hai us ka

ye haal hua us ke faqiron se huwaida

aaluda-e-duniya jo hai begana hai us ka

shukrana-e-saqi-e-azal karta hai 'atish'

labrez mai-e-shauq se paimana hai us ka

(1289) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-pari Ek Jalwa-e-mastana Hai Us Ka In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Husn-e-pari Ek Jalwa-e-mastana Hai Us Ka is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Husn-e-pari Ek Jalwa-e-mastana Hai Us Ka for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Husn-e-pari Ek Jalwa-e-mastana Hai Us Ka in PDF.