Qad-e-sanam Sa Agar Aafrida Hona Tha

qad-e-sanam sa agar aafrida hona tha

na sarw-e-bagh ko itna kashida hona tha

hua hai zulf se gustaKH kis qadar shana

hamare pas bhi dast-e-burida hona tha

na khinchna tha zuleKHa ko daman-e-yusuf

usi ka parda-e-ismat darida hona tha

diya na sath jo sabr-o-qarar ne na diya

rawana mulk-e-adam ko jarida hona tha

miTae se koi miTta hai baatilon ke haq

kuchh iKHtiyar se kya barguzida hona tha

na jaanta tha ghazab hai nigah ka tir ai dil

tujhi ko samne aafat-rasida hona tha

rulata sham-o-sahar kis tarah na tale-e-past

buland sar se mere aab-dida hona tha

gurez-e-yar ne barbaad kar diya hum ko

ghubar-e-rah ghazal-e-ramida hona tha

na aai daman-e-daya mein nind ai 'atish'

darun-e-daman-e-KHak aaramida hona tha

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qad-e-sanam Sa Agar Aafrida Hona Tha In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Qad-e-sanam Sa Agar Aafrida Hona Tha is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Qad-e-sanam Sa Agar Aafrida Hona Tha for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Qad-e-sanam Sa Agar Aafrida Hona Tha in PDF.