Qissa-e-silsila-e-zulf Na Kahna Behtar

qissa-e-silsila-e-zulf na kahna behtar

pech-dar-pech hai KHamosh hi rahna behtar

zabt-e-girya se jala karti hain aankhen sach hai

band hone se hai nasur ka bahna behtar

donon hathon ki tere yar karun kya tarif

bayan dahne se to phir baen se dahna behtar

yar ko dekhenge pahna ke shab-e-mah mein use

mil gaya koi agar phulon ka gahna behtar

nafs-e-ammara sa rakhta hai ye sarkash dushman

aadmi ke liye ghafil nahin rahna behtar

TeDhe sidhe se gharaz rakhte nahin ai 'atish'

jo kahe yar hamein sun ke ye kahna behtar

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qissa-e-silsila-e-zulf Na Kahna Behtar In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Qissa-e-silsila-e-zulf Na Kahna Behtar is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Qissa-e-silsila-e-zulf Na Kahna Behtar for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Qissa-e-silsila-e-zulf Na Kahna Behtar in PDF.