Qudrat-e-haq Hai Sabahat Se Tamasha Hai Wo RuKH

qudrat-e-haq hai sabahat se tamasha hai wo ruKH

KHal-e-mushkin dil-e-firaun yad-e-baiza hai wo ruKH

nur jo us mein hai KHurshid mein wo nur kahan

ye agar husn ka chashma hai to dariya hai wo ruKH

phuTe wo aankh jo dekhe nigah-e-bad se use

aaine se dil-e-arif ke musaffa hai wo ruKH

bazm-e-alam hai tawajjoh se usi ke aabaad

shahr viran hai agar jaanib-e-sahra hai wo ruKH

samri chashm-e-fusun-gar ki fusun-sazi se

lab-e-jaan-baKHsh ke hone se masiha hai wo ruKH

dam-e-nazzara laDe marte hain aashiq us par

daulat-e-husn ke pesh aane se duniya hai wo ruKH

saya karte hain huma uD ke paron se apne

tere ruKHsar se dilchasp ho anqa hai wo ruKH

gul ghalat lala ghalat mahr ghalat mah ghalat

koi sani nahin la-sani hai yakta hai wo ruKH

kaun sa us mein takalluf nahin pate har-chand

na murassa na mozahhab na mutalla hai wo ruKH

KHal-e-hindu hain parastish ke liye aae hain

putliyan aankhon ki do but hain kalisa hai wo ruKH

kaun sa dil hai jo diwana nahin hai us ka

KHat-e-shab-rang se sarmaya-e-sauda hai wo ruKH

us ke didar ki kyun-kar na hon aankhen mushtaq

dil-ruba shai hai ajab surat-e-zeba hai wo ruKH

ta-kuja sharh karun husn ke us ke 'atish'

mahr hai mah hai jo kuchh hai tamasha hai wo ruKH

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qudrat-e-haq Hai Sabahat Se Tamasha Hai Wo RuKH In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Qudrat-e-haq Hai Sabahat Se Tamasha Hai Wo RuKH is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Qudrat-e-haq Hai Sabahat Se Tamasha Hai Wo RuKH for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Qudrat-e-haq Hai Sabahat Se Tamasha Hai Wo RuKH in PDF.