Raftagan Ka Bhi KHayal Ai Ahl-e-alam Kijiye

raftagan ka bhi KHayal ai ahl-e-alam kijiye

aalam-e-arwah se sohbat koi dam kijiye

haalat-e-gham ko na bhula chahiye shadi mein bhi

KHanda-e-gul dekh kar yaad ashk-e-shabnam kijiye

aib-e-ulfat roz-e-awwal se meri tinat mein hai

dagh-e-lala ke liye kya fikr-e-marham kijiye

apni rahat ke liye kis ko gawara hai ye ranj

ghar bana kar gardan-e-mehrab ko KHam kijiye

ishq kahta hai mujhe ram us but-e-wahshi ko kar

husn ki ghairat use samjhati hai ram kijiye

raat sohbat gul se din ko ham-baghal KHurshid se

rashk agar kije to rashk-e-baKHt-e-shabnam kijiye

dida-o-dil ko dikhaya chahiye didar-e-yar

husn ke aalam se aainon ko mahram kijiye

shakl-e-gul hans hans ke roz-e-wasl kaTe hain bahut

hijr ki shab subh ro kar misl-e-shabnam kijiye

thi saza apni jo shadi-marg qismat ne kiya

hijr mein kis ne kaha tha wasl ka gham kijiye

aap ki nazuk kamar par bojh paDta hai bahut

baDh chale hain had se gesu kuchh inhen kam kijiye

uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten

roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye

roz mardum shab kiye deta hai surma pochhiye

KHun hote hain bahut shauq-e-hina kam kijiye

aaine ko ru-ba-ru aane na dije yar ke

shana se 'atish' mizaj-e-zulf barham kijiye

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raftagan Ka Bhi KHayal Ai Ahl-e-alam Kijiye In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Raftagan Ka Bhi KHayal Ai Ahl-e-alam Kijiye is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Raftagan Ka Bhi KHayal Ai Ahl-e-alam Kijiye for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Raftagan Ka Bhi KHayal Ai Ahl-e-alam Kijiye in PDF.