Roz-e-maulud Se Sath Apne Hua Gham Paida

roz-e-maulud se sath apne hua gham paida

lala-san dagh uThane ko hue hum paida

hun main wo naKHl ki har shaKH meri aara hai

hun main wo shaKH ki hon barg-e-tabardam paida

main jo rota hun mere zaKHm-e-jigar hanste hain

shadi o gham se kya hai mujhe tauam paida

chahne wale hazaron nae maujud hue

KHat ne us gul ke kiya aur hi aalam paida

dard sar mein ho kisi ke to mere dil mein ho dard

waste mere hua hai gham-e-alam paida

zaKHm-e-KHandan hain be-ainih lab-e-KHandan apne

shadmani mein hai yan haalat-e-matam paida

aasman shauq se talwaron ka meinh barsa de

mah-e-nau ne tere abru ka kiya KHam paida

kaam apna na hua jab kaji-e-abru se

gesu-e-yar hue darham-o-barham paida

shubh hota hai sadaf ka mujhe har ghunche par

kahin moti na karen qatra-e-shabnam paida

chup raho dur karo munh na mera khulwao

ghafilo zaKHm-e-zaban ka nahin marham paida

qulzum-e-fikr mein har-chand lagae ghote

durr-e-mazmun koi yaron se hua kam paida

dost hi dushman-e-jaan ho gaya apna 'atish'

nosh-e-daron ne kiya yan asar-e-sam paida

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz-e-maulud Se Sath Apne Hua Gham Paida In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Roz-e-maulud Se Sath Apne Hua Gham Paida is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Roz-e-maulud Se Sath Apne Hua Gham Paida for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Roz-e-maulud Se Sath Apne Hua Gham Paida in PDF.