Rujua Banda Ki Hai Is Tarah KHuda Ki Taraf

rujua banda ki hai is tarah KHuda ki taraf

phire zamir-e-KHabar jaise mubtada ki taraf

baid kya hai murawwat se teri ai shah-e-husn

nigah-e-lutf se dekhe jo tu gada ki taraf

kahan wo zulf kahan KHun-e-nafa-e-ahu

jo mushk samjhe hain wo log hain KHata ki taraf

ulajh ke shane se khata hai saikDon jhaTke

qusur se ye tere gesu-e-rasa ki taraf

KHuda ne dard-e-mohabbat ata kiya hai jise

use tawajjoh-e-KHatir nahin dawa ki taraf

mala jo tum ne lahu dast-o-pa mein aashiq ka

na hoga mel tabiat ko phir hina ki taraf

karega yar meri jang-e-ghair mein imdad

jo aashna hain wo hote hain aashna ki taraf

firaq-e-yar mein rahta hai yun tasawwur-e-gor

KHayal jaise musafir ka ho sara ki taraf

na hoga ham-safar-e-ruh paikar-e-KHaki

ye su-e-arz-e-rawan hoga wo sama ki taraf

bahut KHarab raha but-kade mein ai 'atish'

KHuda-parast hai chal KHana-e-KHuda ki taraf

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rujua Banda Ki Hai Is Tarah KHuda Ki Taraf In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Rujua Banda Ki Hai Is Tarah KHuda Ki Taraf is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Rujua Banda Ki Hai Is Tarah KHuda Ki Taraf for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Rujua Banda Ki Hai Is Tarah KHuda Ki Taraf in PDF.