RuKH O Zulf Par Jaan Khoya Kiya

ruKH o zulf par jaan khoya kiya

andhere ujale mein roya kiya

hamesha likhe wasf-e-dandan-e-yar

qalam apna moti piroya kiya

kahun kya hui umr kyun-kar basar

main jaga kiya baKHt soya kiya

rahi sabz be-fikr kisht-e-suKHan

na jota kiya main na boya kiya

barhaman ko baaton ki hasrat rahi

KHuda ne buton ko na goya kiya

maza gham ke khane ka jis ko paDa

wo ashkon se hath apne dhoya kiya

zanaKHdan se 'atish' mohabbat rahi

kunen mein mujhe dil Duboya kiya

(7275) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH O Zulf Par Jaan Khoya Kiya In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. RuKH O Zulf Par Jaan Khoya Kiya is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem RuKH O Zulf Par Jaan Khoya Kiya for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download RuKH O Zulf Par Jaan Khoya Kiya in PDF.