Sabza Baala-e-zaqan Dushman Hai KHalqullah Ka
sabza baala-e-zaqan dushman hai KHalqullah ka
rah-rawon ki maut hai KHas-posh hona chah ka
mil biThana hai falak manzur kis dil-KHwah ka
burj-e-mizan mein nahin be-wajh aana mah ka
bas ki phirta hai KHayal aankhon mein us dil-KHwah ka
rang-ru ke uDne mein aalam hai gard-e-rah ka
safha-e-dil se uThaun kis tarah naqsh-e-sanam
mulk mein hota kisi ke ghar nahin allah ka
kam-bizaat se KHayal-e-KHam hai kasrat ko faiz
iktifa karta nahin lashkar ko pani chah ka
rah-e-hasti mein hai ruKHsar-e-sanam se zindagi
taza-dam karta musafir ko hai takiya rah ka
lash bhi galiyon mein khinchwa kar kiya hai qatl-e-yar
tul hi dena maza hai qissa-e-kotah ka
past fitrat se siwae ranj kuchh hasil nahin
pa-ba-gil kashti ko kar deta hai pani thah ka
chhoD kar ishq-e-sanam zahid na ho maftun-e-hur
kab yaqin lata hai dana dur ki afwah ka
dil ko abru-e-sanam ka shefta karti hai aankh
dars deta hai moallim pahle bismillah ka
ai sanam banda-nawazi hai sifat allah ki
haif hai KHali phire sail teri dargah ka
mail-e-mashuqa-e-KHusraw na ho ai kohkan
sher ke jhuTe ko khana kaam hai rubah ka
josh ashk-e-atishin ka bais aah-e-sard hai
garm karti hai hawa jaDe ki pani chah ka
naza mein aaya na baalin par mere yar is liye
aaKHir-e-har-mah hai mamul chhupna mah ka
hun wo abtar tifl jis ko jaan khona khel hai
kunj-e-marqad hai gharaunda meri bazi-gah ka
aasman ru-e-zamin hai yar mah-e-chaar-dah
halqa-e-ahbab gird us ke hai haala mah ka
wo dahan hai chashma-e-shirin tabassum mauj hai
wo zaqan hai chah KHal us mein tawa hai chah ka
na-tawan meri tarah se hai jo ishq-e-husn se
koh se bhaari taraazu mein ho palla kah ka
sher kahta hun main ai 'atish' KHuda ki hamd mein
meri har ek bait par aalam hai baitullah ka
(978) Peoples Rate This