Shab-e-furqat Mein Yar-e-jaani Ki
shab-e-furqat mein yar-e-jaani ki
dard-e-pahlu ne mehrbani ki
munh dikhao bahut rahi takrar
arini aur lan-tarani ki
jis ko kahte hain chaudhwin ka chand
teri taswir hai jawani ki
kamar-e-yar ho gai ghaeb
sun ke dhum apni na-tawani ki
surat-e-haal par hamare mohr
dagh ne zaKHm ne nishani ki
sair-e-neamat se do jahan ki kya
de ke shabnam ko bund pani ki
ho gaya ishq husn se nagah
puchhte kya ho na-gahani ki
dil-birishta hua jo misl-e-kabab
main ne turkon ki mehmani ki
lab-e-jaan-baKHsh ke qarib wo KHat
sharh hai matn-e-zindagani ki
gosh-zad hote hi hui dushman
nind teri meri kahani ki
khinchte us ghazal ki surat
chaukDi bhulti hai 'mani' ki
mujh ko biThla ke yar sota hai
aashiqi ki ki pasbani ki
rah gaya shauq-e-manzil-e-maqsud
pa-e-KHufta ne sargirani ki
misl-e-shabnam hun saf-dil qane
mujh ko dariya hai bund pani ki
barq chamki to sarfaraaz kiya
abr aaya to mehrbani ki
rahat-e-marg ko na puchh 'atish'
na rahi qadr zindagani ki
(885) Peoples Rate This