Shab-e-wasl Thi Chandni Ka Saman Tha

shab-e-wasl thi chandni ka saman tha

baghal mein sanam tha KHuda mehrban tha

mubarak shab-e-qadr se bhi wo shab thi

sahar tak mah o mushtari ka qiran tha

wo shab thi ki thi raushni jis mein din ki

zamin par se ek nur ta aasman tha

nikale the do chand us ne muqabil

wo shab subh-e-jannat ka jis par guman tha

urusi ki shab ki halawat thi hasil

farh-nak thi ruh dil shadman tha

mushahid jamal-e-pari ki thi aankhen

makan-e-visal ek tilismi makan tha

huzuri nigahon ko didar se thi

khula tha wo parda ki jo darmiyan tha

kiya tha use bosa-bazi ne paida

kamar ki tarah se jo ghaeb dahan tha

haqiqat dikhata tha ishq-e-majazi

nihan jis ko samjhe hue the ayan tha

bayan KHwab ki tarah jo kar raha hai

ye qissa hai jab ka ki 'atish' jawan tha

(1908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-wasl Thi Chandni Ka Saman Tha In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Shab-e-wasl Thi Chandni Ka Saman Tha is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Shab-e-wasl Thi Chandni Ka Saman Tha for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Shab-e-wasl Thi Chandni Ka Saman Tha in PDF.