Shohra-e-afaq Mujh Sa Kaun Sa Diwana Hai

shohra-e-afaq mujh sa kaun sa diwana hai

hind mein main hun paristan mein mera afsana hai

said-gah-e-murgh-e-dil ruKHsara-e-jaanana hai

dam-e-zulf-e-ambarin hai KHal-e-mushkin dana hai

husn se rutba hai apne ishq-e-kaamil ka buland

aastana par pari hai baam par diwana hai

is mein rahta hai safa-e-ru-e-jaanan ka KHayal

dil nahin pahlu mein apne aaina ka KHana hai

bechta hun dil ko jo mahbub chahe mol le

bosa qimat hai tawajjoh ki nazar baiana hai

phuTen wo aankhen nigah-e-bad se jo dekhen tujhe

aatishin ruKHsar mijmar KHal kala dana hai

roz-o-shab us shama-ru ko bhejta hun KHatt-e-shauq

nama-bar din ko kabutar raat ko parwana hai

KHar KHar-e-dil ghanimat jaanta hun ishq mein

zulf-e-dud-e-ah ki aarastagi kashana hai

sharh likkha chahiye us ki bayaz-e-subh par

matla-e-KHurshid bait-e-abru-e-jaanana hai

haalat-e-aina rakhta hai safa se dil mera

aashna se aashna begana se begana hai

qatl se mujh saKHt-jaan ke munkir ai qatil na ho

hujjat-e-qate teri talwar ka dandana hai

waste har shai ke duniya mein muqarrar hain mahal

shahr mein jab tak hai majnun ganj-e-be-virana hai

bagh-e-alam mein nahin us shoKH sa koi hasin

gul hai apna yar yusuf sabza-e-begana hai

ab nahin ai yar jauban ko tere bim-e-zawal

KHatt-e-mushkin husn ki jagir ka parwana hai

haal hai jis ka usi ke waste hai KHushnuma

naqs hai talwar ka wasf arra ka dandana hai

yar khinche tegh tere qatl karne ke liye

sar jhuka 'atish' ye ja-e-sajda-e-shukrana hai

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shohra-e-afaq Mujh Sa Kaun Sa Diwana Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Shohra-e-afaq Mujh Sa Kaun Sa Diwana Hai is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Shohra-e-afaq Mujh Sa Kaun Sa Diwana Hai for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Shohra-e-afaq Mujh Sa Kaun Sa Diwana Hai in PDF.