Andar Ki Duniyaen Mila Ke Ek Nagar Ho Jaen

andar ki duniyaen mila ke ek nagar ho jaen

ya phir aao mil kar TuTen aur khanDar ho jaen

ek nam paDhen yun donon aur dua yun mangen

ya sajde se sar na uThen ya lafz asar ho jaen

KHair aur shar ki aamezish aur aawezish se nikhren

bhul aur tauba karte sare sans basar ho jaen

hum azali aawara jin ka ghar hi nahin hai koi

lekin jin raston se guzren raste ghar ho jaen

ek gunah jo fani kar ke chhoD gaya dharti par

wahi gunah dobara kar len aur amar ho jaen

sufi sadhu ban kar teri khoj mein aise niklen

KHud hi apna rasta manzil aur safar ho jaen

rizq ki tangi ishq ka rog aur log munafiq sare

aao aise shahr se 'haidar' shahr-badar ho jaen

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andar Ki Duniyaen Mila Ke Ek Nagar Ho Jaen In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Andar Ki Duniyaen Mila Ke Ek Nagar Ho Jaen is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Andar Ki Duniyaen Mila Ke Ek Nagar Ho Jaen for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Andar Ki Duniyaen Mila Ke Ek Nagar Ho Jaen in PDF.