Ek KHwab Ki Jo Aankh Bhigone Ke Liye Hai

ek KHwab ki jo aankh bhigone ke liye hai

ek yaad ki sine mein chubhone ke liye hai

ek zaKHm ki sab zaKHm bhula Dale hain jis ne

ek gham ki jo ta-umr bhulane ke liye hai

ek ruh ki sona hai magar mail bhari bhi

ek aag isi mail ko dhone ke liye hai

aankhon mein abhi dhul si lamhon ki jami hai

dil mein koi sailab sa rone ke liye hai

dil ko to bahut pahle se dhaDka sa laga tha

pana tera shayad tujhe khone ke liye hai

kashti ka ye hachkola ye mallah ka chakkar

kashti ko nahin mujh ko Dubone ke liye hai

taqdir se laD sakta hai koi kahan 'haidar'

wo hadsa hona hai jo hone ke liye hai

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHwab Ki Jo Aankh Bhigone Ke Liye Hai In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Ek KHwab Ki Jo Aankh Bhigone Ke Liye Hai is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Ek KHwab Ki Jo Aankh Bhigone Ke Liye Hai for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Ek KHwab Ki Jo Aankh Bhigone Ke Liye Hai in PDF.