Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai

fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai

dard ki maujon mein bhi tezi ho jati hai

pani mein bhi chand sitare ug aate hain

aankh se dil tak wo zarKHezi ho jati hai

andar ke jangal se aa jati hain yaaden

aur faza mein sandal-bezi ho jati hai

KHushiyan gham mein bilkul ghul-mil si jati hain

aur nashat mein gham-angezi ho jati hai

shirin se lahje mein bhar jati hai talKHi

hila-jui jab parwezi ho jati hai

be-had power jis ko bhi mil jae us ki

tarz yazidi ya changezi ho jati hai

ghazlon mein waise to sach kahta hun lekin

kuchh na kuchh to rang-amezi ho jati hai

husn tumhaara to hai sach aur KHair sarapa

hum se hi bas shar-angezi ho jati hai

zahir ka parda haTne wali manzil par

salik se bhi bad-parhezi ho jati hai

'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagta hun

baatin ki duniya tabrezi ho jati hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai in PDF.