Jo Bas Mein Hai Wo Kar Jaana Zaruri Ho Gaya Hai

jo bas mein hai wo kar jaana zaruri ho gaya hai

teri chahat mein mar jaana zaruri ho gaya hai

hamein to ab kisi agli mohabbat ke safar par

nahin jaana tha par jaana zaruri ho gaya hai

sitara jab mera gardish se bahar aa raha hai

to phir dil ka Thahar jaana zaruri ho gaya hai

daraKHton par parinde lauT aana chahte hain

KHizan-rut ka guzar jaana zaruri ho gaya hai

andhera is qadar gahra gaya hai dil ke andar

koi suraj ubhar jaana zaruri ho gaya hai

bahut mushkil hua andar ke rezon ko chhupana

so ab apna bikhar jaana zaruri ho gaya hai

tujhe main apne har dukh se bachana chahta hun

tere dil se utar jaana zaruri ho gaya hai

nae zaKHmon ka haq banta hai ab is dil pe 'haidar'

purane zaKHm bhar jaana zaruri ho gaya hai

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bas Mein Hai Wo Kar Jaana Zaruri Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Jo Bas Mein Hai Wo Kar Jaana Zaruri Ho Gaya Hai is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Jo Bas Mein Hai Wo Kar Jaana Zaruri Ho Gaya Hai for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Jo Bas Mein Hai Wo Kar Jaana Zaruri Ho Gaya Hai in PDF.