Kab Is Zamin Ki Samt Samundar PalaT Kar Aae

kab is zamin ki samt samundar palaT kar aae

izhaar-e-awwalin ka wo manzar palaT kar aae

jab harf likh diya hai to kyun mushtahar na ho

nikla kaman se tir to kyunkar palaT kar aae

ho sare shahr mein ye munadi ki jashn ho

apni hi saf mein haare dilawar palaT kar aae

ya be-KHabar the wusat-e-dariya-e-rang se

ya chashm-e-be-hunar the shanawar palaT kar aae

bazar pur-hujum KHaridar kam-sawad

chup-chap le ke apne gul-e-tar palaT kar aae

itne baKHil peD na dekhe the aaj tak

be-fasl be-samar mere patthar palaT kar aae

asnam ka hujum kabhi is qadar na tha

in wadiyon mein kaun se aazar palaT kar aae

kya ek khula fusun hai shafaq rang dopahar

kya raat ho gai hai ki shahpar palaT kar aae

'manzur' phir zamin pe ujala ho ek bar

kash ek bar phir wo payambar palaT kar aae

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Is Zamin Ki Samt Samundar PalaT Kar Aae In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Kab Is Zamin Ki Samt Samundar PalaT Kar Aae is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Kab Is Zamin Ki Samt Samundar PalaT Kar Aae for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Kab Is Zamin Ki Samt Samundar PalaT Kar Aae in PDF.