KHud Apne-ap Se Milne Ka Main Apna Irada Hun

KHud apne-ap se milne ka main apna irada hun

main har mausam ko sah kar bhi abhi tak istada hun

azal se mawara rangon se hun ye mera dawa hai

asas-e-rang par jaancho na mujh ko naqsh-e-sada hun

tera saya hai aaina chamakte aaftabon ka

main apne jism mein be-paikari ka ek labaada hun

mujhe hairat, main ek nuqte ki surat kis tarah simTa

KHala hai aankh meri main samundar se kushada hun

mujhe lagti hai duniya ek Thokar apne panw ki

main jaane kaisi ujDi saltanat ka shahzada hun

mujhe lagte hain KHush sab seb surat aaj bhi 'manzur'

ki main apne kisi ahd-e-shikasta ka iada hun

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apne-ap Se Milne Ka Main Apna Irada Hun In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. KHud Apne-ap Se Milne Ka Main Apna Irada Hun is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem KHud Apne-ap Se Milne Ka Main Apna Irada Hun for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download KHud Apne-ap Se Milne Ka Main Apna Irada Hun in PDF.