Safar Hi Koi Rahega Na Fasla Koi

safar hi koi rahega na fasla koi

ye ek KHayal hai is par bhi tabsira koi

raqam hua hun yaqin o qayas donon mein

kare to kaise kare mera tajziya koi

wo dast-e-sang hai main aaina-girafta hun

na ho sakega kabhi hum mein tasfiya koi

zamin pe aae na aae ye wahm hai sab ko

KHala ki god mein palta hai hadsa koi

main ek lakir ka qaidi hun bawajud is ke

har ek lakir se milta hai silsila koi

na jaane kis liye rota hun hanste hanste main

basa hua hai nigahon mein aaina koi

hawa sulati hai daman mein zard patton ko

use bhi chahiye jine ka mashghala koi

bhala hai dur rahe ek harif ki manind

hai phir bhi sae ka mujh se muamla koi

likha gaya nahin 'manzur' aaj tak shayad

shafaq ke bab mein subhon ka tazkira koi

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Hi Koi Rahega Na Fasla Koi In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Safar Hi Koi Rahega Na Fasla Koi is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Safar Hi Koi Rahega Na Fasla Koi for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Safar Hi Koi Rahega Na Fasla Koi in PDF.