Sare Chehre Tanbe Ke Hain Lekin Sab Par Qali Hai

sare chehre tanbe ke hain lekin sab par qali hai

mohmal taba-e-mohmal kya hai donon ka ek mani hai

mante hain aap is ke qad mein us ka qad shamil hi na tha

aage hum kyun bahsen sahab itni baat hi kafi hai

dhan ke kheton ka sab sona kis ne churaya kaun kahe

be-mausam be-fasl abhi tak is izhaar ki dharti hai

andeshe andaze ban kar mere safar ke KHwab bane

har basti mein aa kar socha shayad aage basti hai

us ki sada se gunge lamhe pael jaise bajte hain

bachchon jaisa KHush hota hun jab bhi barish hoti hai

be-mashshata husn ki ganw ganw tha wo kahan gaya

bed ke saya-zaron ne kab pahchan apni khoi hai

malik sat samundaron ki wusat ka hun main lekin

mera dil kyun bhar aata hai jab koi naddi sukhti hai

apne aap se main sharminda hota jo mujrim hota

mere bare mein ye duniya kahne do jo kahti hai

manzur apne dast-e-tahi ko dekh ke tujh se puchhe kyun

harf-e-suKHan ek tere siwa hai kaun si shai jo sasti hai

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sare Chehre Tanbe Ke Hain Lekin Sab Par Qali Hai In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Sare Chehre Tanbe Ke Hain Lekin Sab Par Qali Hai is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Sare Chehre Tanbe Ke Hain Lekin Sab Par Qali Hai for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Sare Chehre Tanbe Ke Hain Lekin Sab Par Qali Hai in PDF.