Har Zarra Chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar Hai Aaj

har zarra chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar hai aaj

dil mahw-e-intizar hai aur kis qadar hai aaj

goya wo jalwa-gar hain nigahon ke ru-ba-ru

is darja eatibar-e-fareb-e-nazar hai aaj

mad-hoshi-e-jamal hai ya husn-e-iltifat

tamkin se be-KHabar nigah-e-fitnagar hai aaj

aahaT pe sans ki teri aamad ka hai guman

hangama-e-hayat bhi KHamosh-tar hai aaj

jo raaz-e-do-jahan hai amanat hai husn ki

hasil mujhe wo azmat-e-dard-e-jigar hai aaj

manzil ka mujh ko hosh na apni KHabar hai aaj

wo jaan-e-arzu jo mera ham-safar hai aaj

tahlil ho na jae kahin ruh-e-kaenat

saqi jo ye latafat-e-kaif-e-nazar hai aaj

mahwiyyat-e-jamal mein yara-e-guftugu

ai arz-e-shauq aalam-e-nau-e-digar hai aaj

saz-e-alam bhi soz-e-tarab-KHez hai 'hamid'

har ek nawa-e-dard meri naghma-gar hai aaj

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Zarra Chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar Hai Aaj In English By Famous Poet Hameed Nag Puri. Har Zarra Chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar Hai Aaj is written by Hameed Nag Puri. Read famous Poem Har Zarra Chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar Hai Aaj for youth and Student by Hameed Nag Puri. Free Download Har Zarra Chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar Hai Aaj in PDF.