KHud Apne Aap Se Hum Be-KHabar Se Guzre Hain

KHud apne aap se hum be-KHabar se guzre hain

KHabar kahan ki teri rahguzar se guzre hain

nafas nafas hai moattar nazar nazar shadab

ki jaise aaj wo KHwab-e-sahar se guzre hain

na puchh kitne gul-o-nastaran ka rup liye

bahaar-e-nau ke taqaze nazar se guzre hain

bahaar-e-KHuld ba-har-gam sath sath rahi

tere KHayal mein khoe jidhar se guzre hain

aman mili bhi jo un ko to tere daman mein

wo karwan jo meri chashm-e-tar se guzre hain

dilon pe chhoD gae naqsh apni yaadon ka

tumhaare dard ke mare jidhar se guzre hain

hasin ho tum ki tumhaari koi misal nahin

hasin yun to hazaron nazar se guzre hain

'hamid' puchh na aashob-e-dahr ka aalam

hazar fitna-e-mahshar nazar se guzre hain

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apne Aap Se Hum Be-KHabar Se Guzre Hain In English By Famous Poet Hameed Nag Puri. KHud Apne Aap Se Hum Be-KHabar Se Guzre Hain is written by Hameed Nag Puri. Read famous Poem KHud Apne Aap Se Hum Be-KHabar Se Guzre Hain for youth and Student by Hameed Nag Puri. Free Download KHud Apne Aap Se Hum Be-KHabar Se Guzre Hain in PDF.