Bas Usi Ka Safar-e-shab Mein Talabgar Hai Kya

bas usi ka safar-e-shab mein talabgar hai kya

tu hi ai mah mera hamdam o gham-KHwar hai kya

tesha-dar-dast umanD aai hai aabaadi tamam

sab yahi kahte hain dekhen pas-e-diwar hai kya

han isi lamhe mein hota hai sitaron ka nuzul

shahr-e-KHwabida mein koi dil-e-bedar hai kya

jism to jism hai majruh hui hai jaan bhi

apnon ke hote hue shikwa-e-aghyar hai kya

tharthari patton pe hai dard-ba-jaan hain kaliyan

tu bhi ai baad-e-sahar darpiae-azar hai kya

lab hilane ki sakat hai na qadam uThte hain

samne jo bhi hai daldal mein giraftar hai kya

(635) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Usi Ka Safar-e-shab Mein Talabgar Hai Kya In English By Famous Poet Hamidi Kashmiri. Bas Usi Ka Safar-e-shab Mein Talabgar Hai Kya is written by Hamidi Kashmiri. Read famous Poem Bas Usi Ka Safar-e-shab Mein Talabgar Hai Kya for youth and Student by Hamidi Kashmiri. Free Download Bas Usi Ka Safar-e-shab Mein Talabgar Hai Kya in PDF.