Chand Kohre Ke Jaziron Mein BhaTakta Hoga

chand kohre ke jaziron mein bhaTakta hoga

raqs-gah mein tu ne malbus utara hoga

yak-ba-yak chiKH uThe chaar dishaon ka sukut

zard din mein kabhi aisa ho to phir kya hoga

the wo darmanda-e-shab jag ke phir sote the

shahr-e-zulmat hai kab is mein sawera hoga

aankh ke kale gaDhon mein wo giraftar the sab

kis ne girte houn ko hath se thama hoga

sang-o-ahan ki fasilon pe sharare lapke

KHun alfaz ki rag rag ne uchhaala hoga

le gai bahti hawa dur bahut dur mujhe

tu ne ghar ghar mujhe bekar talasha hoga

kai diwaren hui hain pas-e-diwar khaDi

phir koi soKHta-dil raat ko chiKHa hoga

mauj-dar-mauj hai an-dekhe jaziron ka fusun

tu ne shab bhar mujhe sahil pe pukara hoga

shahr ki saDkon pe ye ghumte kale jangal

gher len mujh ko ye har samt se phir kya hoga

bahr to bahr hai ru-posh hue dasht-o-jabal

kya KHabar thi ye mere jism ka saya hoga

tum bhala mujh se KHafa ho ke kahan jaogi

shahr ki galiyon mein is waqt andhera hoga

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Kohre Ke Jaziron Mein BhaTakta Hoga In English By Famous Poet Hamidi Kashmiri. Chand Kohre Ke Jaziron Mein BhaTakta Hoga is written by Hamidi Kashmiri. Read famous Poem Chand Kohre Ke Jaziron Mein BhaTakta Hoga for youth and Student by Hamidi Kashmiri. Free Download Chand Kohre Ke Jaziron Mein BhaTakta Hoga in PDF.