Ishq Jab Manzil-e-aKHir Se Guzarta Hoga

ishq jab manzil-e-aKHir se guzarta hoga

ek bhi ashk na aankhon se Tapakta hoga

hum to jab jaanen ki jab waqt hamara badle

log kahte hain badalta hai badalta hoga

hoga ai dost yaqinan wo mere dil ki tarah

jo diya ruKH pe hawaon ke bhi jalta hoga

aaj Thahraya hai KHud jis ne mujhe qabil-e-dar

kal wahi meri wafaon ko tarasta hoga

saghar-e-chashm mein mai-kash use bharte honge

rang jab aap ke chehre se chhalakta hoga

jo nazar uThti hai ban jati hai ek mauj-e-KHumar

dast-e-saqi mein koi jam chhalakta hoga

haal 'aKHgar' ke taDapne ka suna jab to kaha

us ki fitrat hi taDapna hai taDapta hoga

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Jab Manzil-e-aKHir Se Guzarta Hoga In English By Famous Poet Haneef Akhgar. Ishq Jab Manzil-e-aKHir Se Guzarta Hoga is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem Ishq Jab Manzil-e-aKHir Se Guzarta Hoga for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download Ishq Jab Manzil-e-aKHir Se Guzarta Hoga in PDF.