Ishq Mein Dil Ka Ye Manzar Dekha

ishq mein dil ka ye manzar dekha

aag mein jaise samundar dekha

kho gae hum teri aahaT pa kar

yani aawaz ko sun kar dekha

jis ko sun kar na yaqin aae kabhi

fi-zamana wahi aksar dekha

na-rasai-e-junun mohkam hai

hum ne diwar mein dar kar dekha

dil pe ek naqsh-e-kaf-e-pa ubhra

ek sahra mein gul-e-tar dekha

main wo momin hun ki jis ne patthar

kabhi chuma kabhi chhu kar dekha

Dub jaane ka KHayal aaya jahan

wahin payab samundar dekha

bas-ki mansub tha ek nam ke sath

mutmain hi dil-e-'aKHgar' dekha

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Dil Ka Ye Manzar Dekha In English By Famous Poet Haneef Akhgar. Ishq Mein Dil Ka Ye Manzar Dekha is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem Ishq Mein Dil Ka Ye Manzar Dekha for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download Ishq Mein Dil Ka Ye Manzar Dekha in PDF.