Itna Sukun To Gham-e-pinhan Mein Aa Gaya
itna sukun to gham-e-pinhan mein aa gaya
aaghosh-e-dil se daman-e-mizhgan mein aa gaya
dil ashk ban ke dida-e-giryan mein aa gaya
KHurshid jaise rauzan-e-zindan mein aa gaya
mujh ko to rang-o-bu mein ulajhne se tha gurez
main ne ye kya kiya ki gulistan mein aa gaya
aks-e-jamal-e-yar ba-tadrij-e-zauq-e-did
aankhon se dil mein dil se rag-e-jaan mein aa gaya
phir mere apne aap mein rahne ka kya sawal
jab wo mere harim-e-dil-o-jaan mein aa gaya
marham ka nam le ke na zaKHmon ko chheDiye
marham bhala kahan se namak-dan mein aa gaya
wahshat-asar faza hai na diwar-o-dar yahan
be-kar hi main ghar se bayaban mein aa gaya
'aKHgar' junun-e-ishq-e-nawardi kidhar gaya
majnun to mere KHana-e-viran mein aa gaya
(816) Peoples Rate This