Jalwon Ka Jo Tere Koi Pyasa Nazar Aaya

jalwon ka jo tere koi pyasa nazar aaya

wo zat mein apni hamein dariya nazar aaya

zad par jo nigahon ki wo chehra nazar aaya

kuchh rang-e-haya aur nikharta nazar aaya

ye husn-e-taghazzul ka karishma nazar aaya

wo jaan-e-ghazal sher sarapa nazar aaya

ek silsila-e-la-mutanahi tha gham-e-ishq

arman se arman nikalta nazar aaya

rashk-e-mah-o-KHurshid wo miTTi ka diya tha

jo ruKH pe hawaon ke bhi jalta nazar aaya

main ne to kabhi aap ko tanha nahin dekha

main aap ko mahfil mein bhi tanha nazar aaya

dil mera bhar aaya ba-gham-e-tark-e-mohabbat

KHali tha magar jam chhalakta nazar aaya

parde pe jami rah gain KHamosh nigahen

yun bhi pas-e-parda tera chehra nazar aaya

mujh par to jami thin teri mahfil ki nigahen

main wo tha ki mahfil mein bhi tanha nazar aaya

saqi ne mujhe KHas nigahon se jo dekha

shoala sa mere jam se uThta nazar aaya

ek dushman-e-iman se ho ummid-e-wafa kya

kab dasht mein diwar ka saya nazar aaya

KHush-rang hua aur teri yaad ka manzar

palkon pe agar koi sitara nazar aaya

suli pe chaDha koi koi tur pe pahuncha

'aKHgar' tere kuche se guzarta nazar aaya

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwon Ka Jo Tere Koi Pyasa Nazar Aaya In English By Famous Poet Haneef Akhgar. Jalwon Ka Jo Tere Koi Pyasa Nazar Aaya is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem Jalwon Ka Jo Tere Koi Pyasa Nazar Aaya for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download Jalwon Ka Jo Tere Koi Pyasa Nazar Aaya in PDF.