KHalwat-e-jaan Mein Tera Dard Basana Chahe

KHalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe

dil samundar mein bhi diwar uThana chahe

parda-dari ye mohabbat ko nibhana chahe

dil mein chhup kar wo kahan samne aana chahe

us ke daman pe bikhar jae sitaron ki tarah

KHamushi haal agar apna suna chahe

us se kya koi kare aag bujhane ka sawal

wo to jazbaat mein bas aag lagana chahe

husn barham ki manane ko hai sadiyan darkar

rose ek tark-e-talluq ka bahana chahe

ishq ko farsh bhi kanTon ka gawara hai magar

husn har haal mein ek aaina-KHana chahe

ban gaya meri mohabbat ka harif ai 'aKHgar'

main jise chahun usi ko ye zamana chahe

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHalwat-e-jaan Mein Tera Dard Basana Chahe In English By Famous Poet Haneef Akhgar. KHalwat-e-jaan Mein Tera Dard Basana Chahe is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem KHalwat-e-jaan Mein Tera Dard Basana Chahe for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download KHalwat-e-jaan Mein Tera Dard Basana Chahe in PDF.