Nafas Nafas Ne UDain Hawaiyan Kya Kya
nafas nafas ne uDain hawaiyan kya kya
ba-rang-e-ishq huin jag-hansaiyan kya kya
hamin ne ishq ko husn-e-ana ka rang diya
hamin pe ishq mein aain buraiyan kya kya
mere taqaddus-e-iman se khelti hi rahin
teri nigah ki kafir-adaiyan kya kya
sukun-girafta na dil hi na aankh KHun-basta
tamam umr rahin na-rasaiyan kya kya
judaiyon se bhi uqde rafaqaton ke khule
rafaqaton mein bhi aain judaiyan kya kya
hai aah ek ghazal ashk ek qasida hai
nihan hain gham mein bhi naghma-saraiyan kya kya
rafiq mujh sa kahin paegi na ai 'aKHgar'
machaegi shab-e-hijran duhaiyan kya kya
(813) Peoples Rate This