Jo Is Zamin Se Kabhi Phir Numu Karunga Main

jo is zamin se kabhi phir numu karunga main

to chehra chehra teri justuju karunga main

hun dard-mand tumhaara magar ye mat socho

jo tum kahoge wahi mu-ba-mu karunga main

meri wafa mein kuchh apni gharaz bhi shamil hai

so apne zaKHm ko pahle rafu karunga main

jo mujh ko dekhega fauran pukar uTThega

ki iKHtiyar tumhein hu-ba-hu karunga main

agar jahan mein koi aaina nahin tera

to phir tujhi ko tere ru-ba-ru karunga main

ye zindagi to sari-uzzawal hai 'najmi'

dil apna is ke liye kyun lahu karunga main

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Is Zamin Se Kabhi Phir Numu Karunga Main In English By Famous Poet Haneef Najmi. Jo Is Zamin Se Kabhi Phir Numu Karunga Main is written by Haneef Najmi. Read famous Poem Jo Is Zamin Se Kabhi Phir Numu Karunga Main for youth and Student by Haneef Najmi. Free Download Jo Is Zamin Se Kabhi Phir Numu Karunga Main in PDF.