Kushud-e-kar Ki KHatir KHuda Badalte Rahe

kushud-e-kar ki KHatir KHuda badalte rahe

charagh-e-nazr the har aastan pe chalte rahe

faqir-e-ishq hain apna koi Thikana hai kya

hawa mein uDte rahe paniyon par chalte rahe

hum ahl-e-dil ne chhua tak nahin kabhi koi phul

hawa-parast magar toDte masalte rahe

phisal ke tum bhi abas sun gae hamare sath

hamein to yun bhi phisalna tha so phisalte rahe

na us ke lams ki garmi na us ke qurb ki aanch

tasawwur us ka tha aisa ki bas pighalte rahe

wo ek jagah na kahin rah saka aur us ke sath

kiraya-dar the hum bhi makan badalte rahe

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kushud-e-kar Ki KHatir KHuda Badalte Rahe In English By Famous Poet Haneef Najmi. Kushud-e-kar Ki KHatir KHuda Badalte Rahe is written by Haneef Najmi. Read famous Poem Kushud-e-kar Ki KHatir KHuda Badalte Rahe for youth and Student by Haneef Najmi. Free Download Kushud-e-kar Ki KHatir KHuda Badalte Rahe in PDF.