Waqt Ajib Chiz Hai Waqt Ke Sath Dhal Gae

waqt ajib chiz hai waqt ke sath Dhal gae

tum bhi bahut badal gae hum bhi bahut badal gae

mere labon ke waste ab wo samaaten kahan

tum se kahen bhi kya ki tum dur bahut nikal gae

tez hawa ne har taraf aag bikher di tamam

apne hi ghar ka zikr kya shahr ke shahr jal gae

mauja-e-gul se ham-kanar ahl-e-junun ajib the

jaane kahan se aae the jaane kidhar nikal gae

shauq-e-visal tha bahut so hai visal hi visal

hijr ke rang ab kahan mausam-e-gham badal gae

surat-e-haal ab ye hai ki log KHilaf hain mere

ai mere ham-KHyal-o-KHwab tum to nahin badal gae

bu-e-gul aur hisar-e-gul ahl-e-chaman pe zulm hai

apni hudud-e-zat se jaan ke hum nikal gae

aab-e-hayat jaan kar zahr piya gaya yahan

zahr bhi KHamushi ka zahr-e-jism tamam gal gae

sham-e-badan bhi the kai rah-e-junun mein ham-safar

tab-e-muqawamat na thi dhup paDi pighal gae

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ajib Chiz Hai Waqt Ke Sath Dhal Gae In English By Famous Poet Hasan Aabid. Waqt Ajib Chiz Hai Waqt Ke Sath Dhal Gae is written by Hasan Aabid. Read famous Poem Waqt Ajib Chiz Hai Waqt Ke Sath Dhal Gae for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download Waqt Ajib Chiz Hai Waqt Ke Sath Dhal Gae in PDF.