Soch Ka Dhaara

meri dahliz ka patthar hai

tum chaho to le jao use

sab patthar ek se hote hain

kal bhi

ek bachcha aaya tha

sahma

sahma

main ne us se

ye baat kahi

tum chaho to le jao use

sab patthar ek se hote hain

bachcha ek-dam bol paDa

kuchh patthar hire hote hain

main

aql-o-KHirad ka shaidai

main ne jab is par ghaur kiya

aur aankh khuli

mere samne but tha patthar ka

patthar ka ye but

mandir ka KHuda

kabe ka sanam

mazdur ka fan

main kya samjhun main kya jaanun

hira ki sanam

patthar ki KHuda

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soch Ka Dhaara In English By Famous Poet Hasan Aabid. Soch Ka Dhaara is written by Hasan Aabid. Read famous Poem Soch Ka Dhaara for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download Soch Ka Dhaara in PDF.