Zamin Sarakti Hai Phir Saeban TuTta Hai

zamin sarakti hai phir saeban TuTta hai

aur us ke baad sada aasman TuTta hai

main apne-ap mein taqsim hone lagta hun

jo ek pal ko kabhi tera dhyan TuTta hai

koi parinda sa par kholta hai uDne ko

phir ek chhanake se ye KHak-dan TuTta hai

jise bhi apni safai mein pesh karta hun

wahi gawah wahi mehrban TuTta hai

na hum mein hausla-e-KHud-kushi ki mar jaen

na hum se qufl-e-dar-e-pasban TuTta hai

zakat-e-ishq agar banTne pe aa jaun

to ek hujum-e-talab mujh pe aan TuTta hai

jo aandhiyan sar-e-sahra-e-hijr uThti hain

un aandhiyon mein 'raza' naKHl-e-jaan TuTta hai

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Sarakti Hai Phir Saeban TuTta Hai In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Zamin Sarakti Hai Phir Saeban TuTta Hai is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Zamin Sarakti Hai Phir Saeban TuTta Hai for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Zamin Sarakti Hai Phir Saeban TuTta Hai in PDF.