Aasar-e-qadima Se Nikla Ek Nawishta

hamari aankh mein nokile kanTe

aur badan mein

zahr ke neze taraazu ho chuke the

jab siyah shab ne

gulabi subh ke gharqab hone ki KHabar par

hum se fauri tabsira manga

hamare honT

itne KHushk,

aur itne darida the

ki hum ek lafz bhi kahte

to reza reza ho jate

qalam hathon mein kya lete

ki apne hath pahle hi qalam the

(kya suKHan kahte

kahan likhte, kise likhte)

so ahl-e-jah ne

jo tabsira (jo qatl-nama) samne rakkha

hum ahl-e-sabr ne

KHun-rang honTon ki darida mehr

us par sabt kar di

(1080) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasar-e-qadima Se Nikla Ek Nawishta In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Aasar-e-qadima Se Nikla Ek Nawishta is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Aasar-e-qadima Se Nikla Ek Nawishta for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Aasar-e-qadima Se Nikla Ek Nawishta in PDF.