Adhure Mausamon Ka Na-tamam Qissa

ye kaun jaane

ki kal ka suraj

nahif jismon sulagti ruhon pe

kaise kaise azab lae

gai ruton se jawab mange

nazar nazar mein sarab lae

ye kaun jaane!

ye kaun mane

ki lauh-e-ehsas par gae mausamon ke jitne bhi

naqsh kanda hain

sab ke sab

aane wali saat ko aaina hain

jo aankh paDh le

to marsiya hain

ye kaun dekhe ye, kaun samjhe

ki subh-e-kazib ki bargahon mein sar-ba-sajda amin chehre

kaDi masafat pe panw dharne se peshtar hi

giran naqaben ulaT rahe hain

rah-e-riya ko palaT rahe hain

ye kaun samjhe ye kaun jaane!!

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Adhure Mausamon Ka Na-tamam Qissa In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Adhure Mausamon Ka Na-tamam Qissa is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Adhure Mausamon Ka Na-tamam Qissa for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Adhure Mausamon Ka Na-tamam Qissa in PDF.