Paya Jab Se ZaKHm Kisi Ko Khone Ka

paya jab se zaKHm kisi ko khone ka

sikha fan hum ne be-ansu rone ka

baDon ne us ko chhin liya hai bachchon se

KHabar nahin ab kya ho haal khilaune ka

ham-safaron se tark-e-safar ko kahta hun

Dar hai rah mein aisi baaten hone ka

ro dena bhi majburi to hai lekin

lutf alag hai dil mein aansu bone ka

miThe KHwab bhi hum dekhen gar mausam ho

lambi gahri miThi ninden sone ka

mere liye kya mere dam-e-aKHir tak hai

khel ye sara hone aur na hone ka

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paya Jab Se ZaKHm Kisi Ko Khone Ka In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Paya Jab Se ZaKHm Kisi Ko Khone Ka is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Paya Jab Se ZaKHm Kisi Ko Khone Ka for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Paya Jab Se ZaKHm Kisi Ko Khone Ka in PDF.