Kaha Jab Tum Se Chaara Dard-e-dil Ka Ho Nahin Sakta

kaha jab tum se chaara dard-e-dil ka ho nahin sakta

to jhunjhla kar kaha tera kaleja ho nahin sakta

wo apni zid ke pure haT ke pure aan ke pure

faqat itni kami hai qaul pura ho nahin sakta

kahan ki chaara-farmai ayaadat tak nahin karte

masihai pe marte hain aur itna ho nahin sakta

sar-e-tur un ke jalwe ne pukara KHud-numa ho kar

ki apne chahne wale se parda ho nahin sakta

kaha jab un se meri zindagi tum ho kaha hans kar

main samjha ab tumhein mera bharosa ho nahin sakta

mera ghar ghair ka ghar to nahin kyun-kar wo khul khelen

nigahen uTh nahin saktin ishaara ho nahin sakta

'sharaf' aur 'rashk' ke kahne se kuchh tuk-bandiyan kar lin

'hasan' afkar mein hum se do-ghazla ho nahin sakta

(722) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kaha Jab Tum Se Chaara Dard-e-dil Ka Ho Nahin Sakta In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Kaha Jab Tum Se Chaara Dard-e-dil Ka Ho Nahin Sakta is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Kaha Jab Tum Se Chaara Dard-e-dil Ka Ho Nahin Sakta for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Kaha Jab Tum Se Chaara Dard-e-dil Ka Ho Nahin Sakta in PDF.