Sanjh-sawere Phirte Hain Hum Jaane Kis Virane Mein

sanjh-sawere phirte hain hum jaane kis virane mein

sawan jaisi dhup likhi hai qismat ke har KHane mein

us ne pyar ke sare bandhan ek lamhe mein toD diye

jis ki KHatir ruswa hain hum is be-dard zamane mein

shab ki siyahi aur baDhegi aur sitare TuTenge

kuchh to waqt lagega aaKHir naya sawera aane mein

kitne pipal sukh gae hain kitne dariya KHushk hue

kitne mausam bit gae hain baadal ko bahlane mein

sidhe-sade panchhi ki manind wo shayad lauT aae

aas lagae baiThe hain hum apne hairat-KHane mein

paDhna likhna chhuT gaya hai sajan jab se ruTh gaya

kaDwi kaDwi se lagti hai ab to har shai khane mein

(1548) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sanjh-sawere Phirte Hain Hum Jaane Kis Virane Mein In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Sanjh-sawere Phirte Hain Hum Jaane Kis Virane Mein is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Sanjh-sawere Phirte Hain Hum Jaane Kis Virane Mein for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Sanjh-sawere Phirte Hain Hum Jaane Kis Virane Mein in PDF.