Surat Hai Wo Aisi Ki Bhulai Nahin Jati

surat hai wo aisi ki bhulai nahin jati

rudad-e-gham-e-hijr sunai nahin jati

har subh-e-alam sham-e-sitam ka hai tasalsul

kya dil pe guzarti hai batai nahin jati

kahti hai dulhan sham ki baalon ko bikhere

yun nind bhi aankhon se uDai nahin jati

chahat pe kabhi bas nahin chalta hai kisi ka

lag jati hai ye aag lagai nahin jati

aasan nahin hai nai duniya ka basana

lekin kabhi tanha ye basai nahin jati

ashkon se 'hasan' aag kahin dil ki bujhi hai

ye aag to dariya hai bujhai nahin jati

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surat Hai Wo Aisi Ki Bhulai Nahin Jati In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Surat Hai Wo Aisi Ki Bhulai Nahin Jati is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Surat Hai Wo Aisi Ki Bhulai Nahin Jati for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Surat Hai Wo Aisi Ki Bhulai Nahin Jati in PDF.