ChhoDenge Gareban Ka Na Ek Tar Kabhi Hum

chhoDenge gareban ka na ek tar kabhi hum

baiThenge junun mein to na bekar kabhi hum

rahte na ijazat ke talabgar kabhi hum

hote jo tere talib-e-didar kabhi hum

pahnaega hum ko wo gul-e-zaKHm ki baddhi

pahnaenge qatil ko jo ek haar kabhi hum

diwana-nawazi hai ki sar ko diye patthar

chhoDenge na ab daman-e-kohsar kabhi hum

wallah buton se nahin karne ke mohabbat

rakkhenge na ab rishta-e-zunnar kabhi hum

anqa ho jahan se meri jaan nam-e-huma bhi

paen jo tera saya-e-diwar kabhi hum

phahe to rahe dagh junun par pa-e-jannat

kya Dar hai jo rakhte nahin dastar kabhi hum

tajwiz kiya kijiyega yun hain sazaen

ya rahm ke bhi honge saza-war kabhi hum

fursat nahin milti hai ghazal kahne ki ai mehr

paDhte hain tab is Dhang ke ashaar kabhi hum

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoDenge Gareban Ka Na Ek Tar Kabhi Hum In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. ChhoDenge Gareban Ka Na Ek Tar Kabhi Hum is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem ChhoDenge Gareban Ka Na Ek Tar Kabhi Hum for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download ChhoDenge Gareban Ka Na Ek Tar Kabhi Hum in PDF.