Main Khaal-o-KHad Ka Sarapa Tasawwuraat Mein Tha

main KHal-o-KHad ka sarapa tasawwuraat mein tha

damakti zat ka suraj andheri raat mein tha

wo waqt ab bhi nigahon mein jagmagata hai

ye kaenat thi mujh mein main kaenat mein tha

main shahr shahr ki hairaniyon se guzra hun

mera wajud bhi shayad ajaibaat mein tha

ana ke dasht mein sadiyon ki dhul oDhe hue

na jaane kab se wo uljha tassubaat mein tha

tamam shor-sharaba nafas nafas mein liye

wo Dubta hua ehsas shab-baraat mein tha

ye subh-o-sham mulaqat hai ajiran si

kabhi-kabhaar ka milna tabarrukat mein tha

'hayat' DhunD raha hun wo lucknow ki jahan

sharafaton ka asasa takallufat mein tha

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Khaal-o-KHad Ka Sarapa Tasawwuraat Mein Tha In English By Famous Poet Hayat Lakhnavi. Main Khaal-o-KHad Ka Sarapa Tasawwuraat Mein Tha is written by Hayat Lakhnavi. Read famous Poem Main Khaal-o-KHad Ka Sarapa Tasawwuraat Mein Tha for youth and Student by Hayat Lakhnavi. Free Download Main Khaal-o-KHad Ka Sarapa Tasawwuraat Mein Tha in PDF.