Par-e-jibril Bhi Jis Rah Mein Jal Jate Hain

par-e-jibril bhi jis rah mein jal jate hain

hum wahan se bhi bahut dur nikal jate hain

mahfil-e-dil ko hai mange ke ujale se gurez

dip daghon ke sar-e-sham hi jal jate hain

saf uD jata hai KHasan-e-KHarabaat ka rang

hum wo mai-KHwar hain pi pi ke sambhal jate hain

ek haqiqat hi haqiqat hai azal ho ki abad

waise afsanon ke unwan badal jate hain

dekhiye naqsh-e-kaf-e-pa-e-wafa ka eajaz

raste dudh ke manind ubal jate hain

zindagi asl mein tamir-e-mohabbat hai 'hayat'

de ke hum dahr ko paigham-e-amal jate hain

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Par-e-jibril Bhi Jis Rah Mein Jal Jate Hain In English By Famous Poet Hayat Madrasi. Par-e-jibril Bhi Jis Rah Mein Jal Jate Hain is written by Hayat Madrasi. Read famous Poem Par-e-jibril Bhi Jis Rah Mein Jal Jate Hain for youth and Student by Hayat Madrasi. Free Download Par-e-jibril Bhi Jis Rah Mein Jal Jate Hain in PDF.