Din Raat Tumhaari Yaadon Se Hum ZaKHm Sanwara Karte Hain

din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain

pardes mein jaise-taise hi ai dost guzara karte hain

KHuddar tabiat hai apni faqon pe basar kar lete hain

ehsan kisi ka duniya mein hargiz na gawara karte hain

ab lakh KHizaon ka mausam bhi kuchh na gulon ka kar pae

hum KHun-e-jigar se gulshan ka har rang nikhaara karte hain

atraf hamare logon ki ek bhiD thi jab tak paisa tha

ye jeb hui ab KHali to sab log kinara karte hain

jab un ke muqabil hote hain wo baat nahin karte hum se

aur dur nazar se hote hi bas zikr hamara karte hain

kyun zaKHm dikhaen hum 'shamsi' ab kaun lagaega marham

sab log to dil mein hans hans kar KHanjar hi utara karte hain

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Raat Tumhaari Yaadon Se Hum ZaKHm Sanwara Karte Hain In English By Famous Poet Hidayatullah Khan Shamsi. Din Raat Tumhaari Yaadon Se Hum ZaKHm Sanwara Karte Hain is written by Hidayatullah Khan Shamsi. Read famous Poem Din Raat Tumhaari Yaadon Se Hum ZaKHm Sanwara Karte Hain for youth and Student by Hidayatullah Khan Shamsi. Free Download Din Raat Tumhaari Yaadon Se Hum ZaKHm Sanwara Karte Hain in PDF.